Roman script

is kadar mousam ne ki rushvaiyan

khud khushi karne lagi purvaiyan

is kadar mousam ne ki rushvaiyan

khud khushi karne lagi purvaiyan

shamyane marshane padne lage

ho gai khamosh sab shahnaiyan

jiske hisse mein jo aaya le gaya

hamare hisse mein mili tanhaiyan

shakh se is baar koyal ud gai

aandhiyo se gir gai angadaaiyan

tab ke gajale fijaye kha gai 

honth per pakada gai rubaiyan

tab ke gajale fijaye kha gai 

honth per pakada gai rubaiyan

vakt ne kuchh is tarah kata hame

vakt ne kuchh is tarah kata hame

hamse lambi ho gai parchhaiyan

aadmi apne dukho mein thal gaya

vakt leta hi raha angadaaiyan

Explore this song