Roman script

ruk gaya aankh se bahta hua dariya kaise

gham ka tufa to bahut tej tha thahra kaise

mujhko khud par bhi bharosa nahi hone pata

log kar lete hain gairo pe bharosa kaise

har ghadi tere khayalo me ghira rahta hu

milna chahu to milu khud se main tanha kaise

aur bhi ahal-e-khirad ahal-e-junu the maujud

lut gaye hum hi teri bajm me tanha kaise

lut gaye hum hi teri bajm me tanha kaise

gham ka tufa to bahut tej tha thahra kaise

ruk gaya aankh se bahta hua dariya kaise

ruk gaya aankh se bahta hua dariya kaise

Explore this song