Roman script

har pal hai jawan har lamha haseen hai

jaha hum hai waha koi gum nahi hai

ye jo hai zindagi khushiyo me doobi hai

hum to yunhi jeete hai

rozana subah leke aati hai roshni

rozana hai shaam laati dilkashi

jagi si zindagi hai ye gaati zindagi hai

jagi si zindagi hai rozana

rango ki barishe hai aisi nawazishe hai

rango ki barishe hai rozana

dil chahta hai har pal muskrane ko

koi dhun haule haule gungunane ko

jo bhi mila hai usko dost hi samjha

zindagi jashn hai jaise manane ko

jo bhi suna use khushkhabri jana

khushiyo ko humne pehchana rozana

rozana subah leke aati hai roshni

rozana hai shaam lati dilkashi

yehi hai kahani apni yehi zindgani apni

yehi hai kahani apni rozaana

rango ki barishe hai aisi nawazishe hai

rango ki barishe hai rozana

phulo me khushbu kaliyo me rang jaise

hum me hai jeene ki ik umang jaise

umeedo ki hai buji ragini si

dil me hai har nayi ik tarak jaise

sapno ka jaha hai jana pehchana

ik naya hai sapna dekha rozana

rozana subah leke aati hai roshni

rozana hai shaam lati dilkashi

bas hai yehi tamasha har pal hai ye aasha

bas hai yehi tamasha rozaana

rango ki barishe hai aisi nawazishe hai

rango ki barishe hai rozana

Explore this song