Roman script

har pal hai jawa har lamha hansi hai
jaha hum hai waha koi gam nahi hai
ye jo hai zindagi khushiyo me dubi hai
hum ti yu hi jite hai 
rozana subah leke aati hai roshni 
rozana hai sham lati dilkashi 
jagi si zindagi hai ye gati zindagi hai
jagi si zindagi hai rozana
rango ki barishe hai aisi navajishe hai
rango ki barishe hai rozana
dil chahata hai har pal muskurane ko 
koi dhun haule haule gungunane ko
jo bhi mila hai usko dost hi samjha
zindagi jashan hai jaise manane ko
jo bhi suna use khush kar hi jana
khushiyo ko humne pehchana 
rozana subah leke aati hai roshni 
rozana hai sham lati dilkashi 
yahi hai kahani apni yahi zindgani apni
yahi hai kahani apni rozana
rango ki barishe hai aisi navajishe hai
rango ki barishe hai rozana
phulo me khushbu kaliyo me rang jaise
hum me hai jine ki ek umang jaise
ummido ki gunjhi hai ragini si 
dube hai har ghadi ek rang jaise
dil ka jaha hai jana pehchana
sapno ka jaaha hai jana pahachana
ek naya hi sapna dekha 
rozana subah leke aati hai roshni 
rozana hai sham lati dilkashi 
bas hai yahi tamasha har pal ek aasha
bas hai yahi tamasha rozana
rango ki barishe hai aisi navajishe hai
rango ki barishe hai rozana

Song details