Roman script

roshni goom to thi dhup bhi maddham si thi 

raah me dhund to thi aankh bhi kuchh nam si thi 

chhat gayi badlisiya dhul gaya hai aasma

aa rahi hai ek sada ab yaha

roshni me ghula ye sama hai 

ab yaha roshni se rava hai jaha

roshni me ghula ye sama hai 

ab yaha roshni ab yaha 

tu jo utha de nazar sahil ki aur 

tu jo badha de kadam manjil ki aur 

khuda khud badhake haath apna tham lega tujhe 

roshni me ghula ye sama hai 

ab yaha roshni se rava hai jaha 

mushkil ye raahe aasan ho jayengi 

mashkkat ye teri ek din rang layegi 

parvaj kar itni unchi ke arsh jhuk jayega 

roshni me ghula ye sama hai 

ab yaha roshni se rava hai jaha 

roshni me ghula ye sama hai 

ab yaha roshni ab yaha

Explore this song