Roman script

ranjish hi sahi dil hi 
dukhane ke liye 
aa ranjish hi sahi 
aa phir se mujhe chhod ke 
jane ke liye aa ranjish hi 
sahi dil hi dukhane ke 
liye aa ranjish hi sahi 
pahle se marasim na sahi 
phir bhi kabhi to pahle se 
marasim na sahi 
phir bhi kabhi to rasm-o-rah 
duniya hi nibhane ke liye 
aa ranjish hi sahi 
dil hi dukhane ke liye 
aa ranjish hi sahi 
kis kis ko batayenge 
judai ka sabab 
hum kis kis ko batayenge 
judai ka sabab hum 
tu mujh se khafa hai 
to zamane ke liye 
aa ranjish hi sahi 
dil hi dukhane ke liye 
aa ranjish hi sahi 
ab tak dil-e-khushfaham ko 
tujh se hain ummede 
ab tak dil-e-khushfaham ko 
tujh se hai ummede 
ye aakhiri shamme bhi 
bujhane ke liye aa 
ranjish hi sahi dil hi 
dukhane ke liye 
aa ranjish hi sahi

Song details

Song video

Watch on YouTube