Roman script

rani kahe ke gudiya kahe

aasha kahe ke sapna kahe

kya rakhe tera naam

o kya rakhe tera naam

pukare tujhe, pukare tujhe

kya kah ke

rani kahe ke gudiya kahe

asha kahe ke sapna kahe

zindagi ka har lamha

maut ki amaanat hai

yahi to sacchai hai

yahi to hakikat hai

kudrat ka hai khel azib

kudrat ka hai khel azib

rahne nahi deti apno ko karib

apno ko karib

babul ne tere rani abhi tak

dekha nahi tera mukhda

chanda ke jaisa babul hai tera

chanda ka tu hai tukda

chanda ka tu hai tukda

juhi kahe ke bela kahe

khushbu kahe ke phulwa kahe

kya rakhe tera naam

o kya rakhe tera naam

pukare tujhe, pukare tujhe

kya kah ke

rani kahe ki gudiya kahe

asha kahe ke sapna kahe

o sathiya, laut bhi aa

khushiya adhuri meri tere bina

tarse huo ko mukhda dikha

har koi dekhe yaha rasta tera

jism jal jata hai, rakh rah jati hai

bahte hue pani me wo bhi bah jati hai

mehakte rahte hai yado ke phul

mehakte rahte hai yado ke phul

jiwan kya hai mutthi bhar dhul

mutthi bhar dhul

kya rakhe tera naam

o kya rakhe tera naam

pukare tujhe, pukare tujhe

kya kah ke

rani kahe ki gudiya kahe

asha kahe ke sapna kahe

dharti pe jab tak bahti hai nadiya

ambar par jab tak sitaare

dharti pe jab tak bahti hai nadiya

ambar par jab tak sitaare

tab tak rahe tu beti suhagan

lab pe duaayen humari

lab pe duaayen humari

anmol mera moti hai tu

deepak sa hi jyoti hai tu

kya rakhe tera naam

o kya rakhe tera naam

pukare tujhe, pukare tujhe

kya kah ke

rani kahe ki gudiya kahe

asha kahe ke sapna kahe

kya rakhe tera naam

o kya rakhe tera naam

pukare tujhe, pukare tujhe

kya kah ke

rani kahe ki gudiya kahe

asha kahe ke sapna kahe

Explore this song