Roman script

raja ram ke beto phate aasan pe tum leto

ek deen dukhiya maa ka tumko dular

banwasini sita ka tumko pyar

ab ye jopadi hai mahal, ayodhya hai yahi jungle

is van me apna ab naya sansar

banwasini sita ka tumko pyar

mila ban ka tumhe kona, to ispar mat dukhi hona

mila ban ka tumhe kona, to ispar mat dukhi hona

mere aanchal tale ae naunihalo sukh se tum sona

sukh se tum sona

mai dungi raat bhar pehra, nirakh tum dono ka chehra

lungi baliya man me baarambaar

banwasini sita ka tumko pyar

na chandi ka yaha palna, na resham ki yaha dori

na chandi ka yaha palna, na resham ki yaha dori

yaha hai tute sapne aur meri aansu bhari lori

aansu bhari lori

mai ek lachar abla hu, siva mamta ke mai kya du

mere bagya se bacho dungi takrar

banwasini sita ka tumko pyar

raja ram ke beto phate aasan pe tum lete

ek deen dukhiya maa ka tumko dular

banwasini sita ka tumko pyar

banwasini sita ka tumko pyar

Explore this song