Roman script

raat guzri…hai bhi ya nahin

baaqi rahi aankhon mein

shaamil hui yaadon mein

hun main zinda…ye bhi kam nahin

duniya jahaan…thi hai wahin

naa jaane mile wo pal kahaan

mujhe wo kal

jo beeta hai bhulaana hai

mera jahaa’ ooo khoya kahaa’…ooo

rahe jahaa’ wo salaamat rahe

mera nishaa’ ooo mile kahaa’…ooo

rahe jahaa’ wo…salaamat rahe

maazi ke zakhm saare

marham ko hai pukaare

waqt se ye… bhar hi jaane hai

lekin jo dhokhe khaaye

kohre-se the jo chhaaye

daagh uske… rah bhi jaane hai

qadmon ko kahin mil jaaye zamin

jo beeta hai bhulaana hai

mera jahaa’ ooo khoya kahaa’…ooo

rahe jahaa’ wo salaamat rahe

mera nishaa’ ooo mile kahaa’…ooo

rahe jahaa’ wo…salaamat rahe

rahe salaamat hamesha rahe

salaamat hamesha wo.. salaamat rahe

rahe jahaa’ wo salaamat rahe

Explore this song