Roman script

raadha ke pyaare krishan kanhaai 

teri duhaai, teri duhaai

ham bhi hain tere 

kuch to daya kar 

laakhon ki tune bigdi banaai 

raadha ke pyaare 

tu unka hai koi na jinka 

ho jag saagar hai main tinka 

tufaan se aaj bacha le 

o mere paalan haare 

fariyaad main le kar 

tere dwaar aayi 

krishan kanhaai more krishan kanhaai 

ham bhi hain tere 

kuch to daya kar 

laakhon ki tune bigdi banaai 

raadha ke pyaare 

sansaar ka tu hai raaja 

o nirdhan ke kaam bhi aa ja 

preetam ka saath na chhute 

bekas ki aas na tute 

main aasha ki kaliyaan 

charno mein laai 

krishan kanhaai more krishan kanhaai 

ham bhi hain tere 

kuch to daya kar 

laakhon ki tune bigdi banaai 

raadha ke pyaare

Explore this song