Roman script

raaste me ek hasi aji mil gaya humko kahi

chaal thi masti bhari, aankho me thi jaadugari

ye baat hai kal sham ki, baat hai kal sham ki

wo naazni wo gulbadan chal di dikha ke baankpan

dil ne mujhe tata kaha maine kaha haafiz khuda

zulfo ko lahrati huyi, chalti thi balkhati hui

haaye wo mud mud dekhna, aankho se jaadu phenkna

ye baat hai kal shaam ki, baat hai kal shaam ki

maine bhi rasta rok kar puchha, mera dil hai kidhar

boli ki dil hum le chale aur dard tujhko de chale

ha dard tujhko de chale

maine kaha meri khata o bewafa kuch to bata

kehne lagi ye dil tera, mere gale khud pad gaya

ye baat hai kal shaam ki, baat hai kal shaam ki

wo ajnabi wo manchala chupke se yu kehne laga

o khubsurat apsara kuch naam to apna bata

ye sun ke mai ghabra gayi, kuch soch kar sharma gayi

chalti hawaye ruk gayi, milkar nigahe jhuk gayi

ye baat hai kal shaam ki, baat hai kal shaam ki

raaste me ek hasi aji mil gaya humko kahi

chaal thi masti bhari, aankho me thi jaadugari

ye baat hai kal sham ki, baat hai kal sham ki

Explore this song