Roman script

sambhal jaao badhe aate hai mandraate hue saaye

ye vo aasaar hai yaaro kayamat jisko kehte hai

jawani ke nashe me chur hai, apni bala jaane

kayamat naam hai kiska, kayamat kisko kehte hai

kayamat naam hai kiska, kayamat kisko kehte hai

jara thehro batati hun

udhar tum dil ko thamo main idhar parda utati hun

hum aashik hai hasino ke, kaza se pyaar karte hai

kayamat naam hai kiska, kayamat kisko kehte hai

hum aashik hai hasino ke, kaza se pyaar karte hai

kayamat naam hai kiska

allah, ya habibi

ye ada subhan allah, dliruba subhan allah

marhawa subhan allah, kya kehne subhan allah

jamane me mujhe sab aag ki barsaat kehte hai

main vo ? jisko log aurat jaat kehte hai

agar baadal nahi hota to fir barsaat kya hoti

bina mardo ke duniya me tu aurat jaat kya hoti

meri chitvan, meri shokhi, mera andaaz to dekho

khanak chudi ki, payal ki hasin aawaz to dekho

nigaah-e-ishk ne dekha to tumko shokhiya aai

dil-e-aashik ne hi baanki adyaein tumko sikhlaai

humare hi liye to ye

humare hi liye to ye hasin gesu sanwarte hai

hum aashik hai hasino ke, kaza se pyaar karte hai

kayamat naam hai kiska, kayamat kisko kehte hai

hum aashik hai hasino ke, kaza se pyaar karte hai

kayamat naam hai kiska

allah, ya habibi

ye ada subhan allah, dliruba subhan allah

marhawa subhan allah, kya kehne subhan allah

main rasiya husn ke gulshan ka bhanwra naam hai mera

hasino ki taraf dil fenkna bas kaam hai mera

ho tum dil fek aashik, hum dilo ko tod dete hai

jo aaye zid pe to hum rukh hawa ka mod dete hai

humaare dilnashe maashuk chehro par na jaao tum

ye dil to dil hai diwaano, ab apni jaan bachaao tum

hasino hum tumhaare hai

ye jaan-o-dil tumhaare hai

ke duniya me hasin humko, humare ja se pyaar hai

tumhara hausla kya hai

tumhara hausla kya hai, abhi main aazmaati hun

udhar tum dil ko thamo main idhar parda utati hun

kayamat naam hai kiska, kayamat kisko kehte hai

udhar tum dil ko thamo main idhar parda utati hun

kayamat naam hai kiska

allah, ya habibi

marhawa subhan allah, kya kehne subhan allah

ye ada subhan allah, dliruba subhan allah

allah, ya habibi

ke hum patthar hai, humpe to asar karte nahi naale

mera shish-e-dil patthar ko chaknachur kar daale

na uljho hum hasino se, chale jaao bura hoga

fakat ek jaan hi jaayegi jaaye aur kya hoga

karo na waqt jaya kar ke yun takraar ki baaten

jo karna hai karo chhodo sabhi bekaar ki baaten

inhi bekaar baaton me ganva baithe jawani hum

nasihat humse lo ke hai, tazurbe ki nishaani hum

aji kibla tumhari baat sar aankho pe dharte hai

ye jhagda chhod kar tum jo bhi

kehte ho vo karte hai

aji kibla tumhari baat sar aankho pe dharte hai

ye jhagda chhod kar tum jo bhi

kehte ho vo karte hai

allah, ya habibi

Explore this song