Roman script

leharaai hui zulfe girahgeer to dekho dil kyun na giraftar ho zanjeer to dekho

phir shaukse keh lena deewana mujhko logo, pehle mere mehbub ki tasveer to dekho

tum meri zulfe girahageer ko kyun dekhte ho aur mere paav ke zanjeer ko kyun dekhte ho

tum to kehte the meri shakl se nafrat hai tumhe, mujhse chhupkar meri tasveer ko kyun dekhte ho

chhurise teerse talvaar se kya honewala hai, hume to in hasino ki nazar ne maar daala hai

nazar jo uthi to duwa ban gayi, nazar jo jhuki to haya ban gayi, nazar tirchhi ki to ada ban gayi 

nazar pher li to kaja ban gayi 

nazar jab uthi meharba ho gayi, nazar jab mili to jawa ho gayi, jo palti to dil ki jaba ho gayi 

jo badali to ek daasta ho gayi, nazar se humne nazar ko ek din nazar mila te nazar se dekha  

nazar jo pahuchi nazar tak unki nazar jhukate nazarse dekha kya baat hai 

dil ek mandir hai tum uski murat ho, kisine sach kaha tum kitni khubsurat ho 

pyar ke mod par mil gaye ho agar, pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada karo

pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada karo

pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada karo

wafa hai zehar to ye zehar hum dono ko peena hai, hume ek saath marna hai hume ek saath jeena hai 

to pyar ke mod par mil gaye ho agar aaj milne milane ka waada karo

aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, ja rahe ho to aane ka waada karo

aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, ja rahe ho to aane ka waada karo

aa gaye ho to jaane ki zid naa karo, ja rahe ho to aane ka waada karo

tumhara pyar bhi jhutha, tumhari jaat bhi jhuthi, tumhare hoth bhi jhuthe, tumhari baat bhi jhuthi

tumhara har irada har tamanna har gila jhutha, tumhare phool jhoote baag jhutha, aashiya jhutha

wafa jhuthi, zafa jhuthi sitam jhutha karam jhutha, kasam hai sar se lekar paanv tak tu ae sanam jhutha

tumhara naam jhutha tumhara kaam jhutha tumhara maikada jhutha, tumhara jaam bhi jhutha

tumhari raat jhuthi, chaand jhutha, aasma jhutha

tumhare asht gam jhuthe tumhara zakhme jaha jhutha, tumse badhke koi aur bemuravat nahi 

pyar karne ki ab hamko phursat nahi, main tumhe yaad karne ki zid chhod  du

main tumhe yaad karne ki zid chhod  du, tum mujhe bhul jaane ka waada karo

main tumhe yaad karne ki zid chhod  du, tum mujhe bhul jaane ka waada karo

main tumhe yaad karne ki zid chhod  du, tum mujhe bhul jaane ka waada karo

chal ye maana mohabbat ka dastur hai, husn ki har ada humko manzur hai

ada par naaz par har aadmi kurbaan hota hai

jo achchhi cheez hoti hai , udhar hi dhyan hota hai

kiya tha waada ke kal ayenge charaag jale, aur tamam raat charaago se dil ke daag jale

ye dard bhi daulat hai ye daag bhi daulat hai, ye jitne bhi daulat hai sab teri badaulat hai

barabar khafa ho, barabar manaaye, na tum baaz aao na ham baaz aaye

kyonki bheegi zulfo ko shanoo par jhatak kar chhod  dete hai

barasnewale baadal apna bhi rukh mod lete hai

are ye husnwale jab bhi lete hai angdaai, to khudawale bhi barso ki ibaadat chhod  dete hai

kya baat hai 

yaad aa jaau to bhul jaaya karo, apne palko ke moti chhupaya karo

aasuose to sab raaz khul zayenge,  aur khayanat mohabbat mein ho jaayegi

mere mehbub tum ho amanat meri, mere mehbub tum ho amanat meri gam mein bhi muskarane ka waada karo

mere mehbub tum ho amanat meri gam mein bhi muskurane ka waada karo

mere mehbub tum ho amanat meri gam mein bhi muskurane ka waada karo

nazar jhukao, hasino ka ehtraam karo, hai mera naam jawani mujhe salaam karo

jo husn chaahe to lag jaaye aag pani mein, aji kisi hasin ko dekha bhi hai zawani mein

shama ne aag rakhi shama ne aag rakhi sar pe kasam khane ko, bakhuda maine jalaya nahi parwane ko

sare bazar mere husn ka charcha naa karo, pyar sachcha hai to tum mujhe ruswa na karo 

chand uncha hai bahut chaand ka sauda naa karo, durse dekh lo chhune ki tamanna na karo

kisi aashik se koi vaasta nahi rakhte, hum apne ghar mein koi aaina nahi rakhte 

jitni badnamiya thi wo sab dekh li, chhod  do mujhko ab tumse matlab nahi

meri tasveer ko phadkar phek do ha meri tasveer ko phadkar phek do ha mera har khat jalane ka waada karo

meri tasveer ko phadkar phek do, ha mera har khat jalane ka waada karo

ishkne mere nagmo ko parwaz di, tum jo ruthe to dilne ye aawaz di

chuna hai dil ne tujhe itne naazino mein, aur tera jawab nahi shehar ke hasino mein

jo pura hua meri chahat ka sapna to bana lunga main tujhko mehbub apna

dekhna hasrate deedar me jal jayenge aur ham patange ki tarah pyar mein jal jayenge

tum mujhe itni mohabbat se naa dekho varna, are log dekhe inge to bekaar mein zal jayenge

log dekhe inge to bekaar mein zal jayenge

jalnewalo ko tera dil naa jalane dunga, aur tujhpe ruswai ki main aanch naa aane dunga 

ye hai mera waada o mera wada, ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada

ye hai mera waada ye hai mera waada ye hai mera waada, waada ho mera waada

ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada

kisi din dilbari dekhi, kisi din dilbari dekhi kisi din berukhi dekhi

aji rehne bhi dijiye bas mohabbat aapki dekhi 

abhi to aap humpe jaan dene ko the aamada, zara si der mein tasveer hi badali hui dekhi

bahaane khub dhundhe hai hume barbad karne ke, tumhara ishk dekha pyar dekha dosti dekhi

jitne shikve gile hai mita le abhi, are jo sunana hai ae dil suna le abhi

in aashiko ka koi bharosa nahi, aaj waada kiya kal mukar jayenge, parso jal jayege 

ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera waada o tera waada

waada waada waada waada ja dekha tera wada o tera waada, ja dekha tera waada o tera waada

ja dekha tera waada o tera waada

saja dunga phulose aangan tumhara aur sitaarose bhar dunga daaman tumhara

chamakti rahegi kalaai tumhari, khanakta rahega ye kangan tumhara 

dulhan banake tumhe apne ghar mein launga phir uske baad main duniya ko bhul jaaunga 

magar tum bewafa ho, tum kya jaano wafadari

hum pyar ke pujari tum pyar ke shikari, sab kuchh hai tujhme par pyar hi nahi hai

aankhe teri kahi hai aur dil tera kahi hai

kaati thi raat humne ganga kinaare gori, dono ne kasam khakar baandhi thi prem dori

magar gam teri judaai ka sehna hai sahunga main, aur ye aakhari khat mera ab khat na likhunga main

ye aakhari khat mera ab khat na likhunga main

is khat mein khun-ae-dil hai, mehandi mein mila lena

jis roz bano dulhan haatho mein laga lena

ab iske siva tumko kya aur du nazrana , uththe mera zanja shehnai tum bajana

tadap uthoge wo nagma jigar se nilkega, mera zanaja tumhare hi ghar se niklega

ha ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada

ye hai mera waada ye hai mera waada ye hai mera waada, waada mera 

waada o mera waada, ye hai mera waada o mera waada

ye hai mera waada o mera waada

mere mehbub ne waada kiya hai paanchve din ka, kiya hai waada to koshish bhi karna aane ki

suna hai aapko aadat hai bhul jaane ki

abhi sikha nahi hai aapne wada wafa karna, to kya ummid rakhe aapse wada nibhane ki 

aapke lab par aur wafa ki kasam kya kasam khaayi hai khuda ki kasam

jaban aur dilpe jise apne akhtiyaar nahi, mujhe to uski kasam ka bhi aitbar nahi 

mere mehbub ne wada kiya hai paanchve din ka, are kisise sun liya hoga ke duniya char din ki hai

ja ja ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera wada o tera waada

waada dekha tera waada o tera waada, ja dekha tera wada o tera waada

ja dekha tera waada o tera waada

Explore this song