Roman script

dil ne kaha chupke se ye kya hua chupke se  
kyo naye lag rahe hai ye dharti gagan 
maine puchha to boli ye pagli pavan 
pyar hua chupke se ye kya hua chupke se
kyo naye lag rahe hai ye dharti gagan 
maine puchha to boli ye pagli pavan 
pyar hua chupke se ye kya hua chupke se
titaliyo se suna 
titaliyo se suna maine kissa baag ka 
baag me thi ek kali sharmili anachhuyi 
ek din manchala bhanvra aa gaya 
khil uthi vo kali paya rup naya 
puchhati thi kali ke mujhe kya hua 
phul hansa chupke se pyar hua chupke se 
maine badal se kabhi 
maine badal se kabhi ye kahani thi suni 
parvato ki ek nadi milne sagar se chali 
jhumti ghumti nachti dolti 
kho gayi apne sagar me jake nadi 
dekhne pyar ki aisi jaadugari 
chaand khila chupke se pyar hua chupke se 
kyo naye lag rahe hai ye dharti gagan 
maine puchha to boli ye pagli pavan 
pyar hua chupke se ye kya hua chupke se 
kyo naye lag rahe hai ye dharti gagan 
maine puchha to boli ye pagli pavan 
duruna duruna duruna duruna duruna duruna

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Anil Kapoor, Manisha Koirala