Roman script

pyar hai pyar aur kuchh bhi nahi 
raaz jiska naa koi jaana hai
koi samajha ise hakikat hai 
koi samajha ise fasana hai 
pyar hai pyar aur kuchh bhi nahi 
pyar khud raasta hai, manzil bhi 
pyar tufaan bhi hai, saahil bhi 
pyar khud raasta hai manzil bhi 
pyar tufaan bhi hai, saahil bhi 
pyar khushiyo ka ik nagma hai
dard ka bhi yahi taraana hai 
pyar hai pyar aur kuchh bhi nahi 
pyar pahli ghata hai, saawan ki 
pyar pahli fiza hai, gulshan ki 
pyar pahli ghata hai, saawan ki 
pyar pahli fiza hai, gulshan ki 
iska aagaj khubsurat hai 
iska anjaam bhi suhana hai
pyar hai pyar aur kuchh bhi nahi 
pyar aasaan bhi hai, mushkil bhi 
pyar masum bhi hai, kaatil bhi 
pyar aasaan bhi hai, mushkil bhi 
pyar masum bhi hai, kaatil bhi 
pyar ek imtiha hai khudko 
aajma le jo le aajmana hai 
pyar hai pyar aur kuchh bhi nahi 
raaz jiska naa koi jaana hai
pyar hai pyar aur kuchh bhi nahi

Song details

Song video

Watch on YouTube