Roman script

pyaar ka badla mujhe, dekho kaisa mila

pyaar ke badale, mujhako paisa mila

pyaar ka badla mujhe, dekho kaisa mila

pyaar ke badale, mujhako paisa mila

maine samajha jise, chaand ki chaandani

wo to ek aag thi jisame ghar jal gaya

bhul thi yeh meri, kya karu abb gila

pyaar ke badale, mujhako paisa mila

maine apna lahu, de ke sincha ise

mere gulshan me ye, kaisi aayi bahar

kitane kaante khile, phul ek naa khila

pyaar ke badale, mujhko paisa mila

ek hasrat bani har tamanna meri

itani daulat bhala mere kis kaam ki

hai yahi jindagi, jindagi ka sila

pyaar ke badale, mujhko paisa mila

pyaar ka badala, mujhe dekho kaisa mila

pyaar ke badale, mujhko paisa mila

Explore this song