Roman script

purani jeans aur guitar

mohalle ki vo chhat aur mere yaar

wo raato ko jaagna

subah ghar jaana kood ke deewar

wo cigaretee peena gali mein jaake

wo karna daanton ko ghadi ghadi saaf

pahunchna college hamesha late

woh kehna sir ka

get out from the class

woh bahar jaake hamsha kehna

yaha ka system hi hai kharaab

wo jaake canteen mein table bajaake

wo gaane gaana yaaro ke saath

bas yaade yaade yaade reh jaati hai

kuchh chhoti chhoti baate reh jaati hai

bas yaadein yaade yaade reh jaati hai

kuch chhoti chhoti baate reh jaati hai

wo papa ka daantna wo kehna mummy ka

chhode ji aap tumhe to bas nazar aata hain

jahan mein beta mera hi kharaab

wo dil mein sochna kar ke kuch dikha de

wo karna planning roz nayi yaar

ladakpan ka wo pehla pyaar

wo likhna haatho pe a + r

wo khidki se jhaankna

wo likhna letter unhe baar baar

wo dena tohfe mein sone ki baaliyan

wo lena dosto se paise udhaar

bas yaade yaade yaade reh jaati hai

kuch chhoti chhoti baate reh jaati hai

bas yaade yaade yaade reh jaati hai

kuch chhoti chhoti baate reh jaati hai

aisa yaadon ka mausam chala

bhoolta hi nahin dil mera

kahan meri jeans aur guitar

mohalle ki vo chhat

aur mere yaar wo raato ko jaagna

subah ghar jaana kood ke deewar

purani jeans aur guitar

mohalle ki vo chhat

aur mere yaar wo raato ko jaagna

subah ghar jaana kood ke deewar

Explore this song