Roman script

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

kiya tha hamse wada, aur unke sath jate ho

na tumse jaan na pahchan, na kuch waasta apna

gale padne se kya hasil hai, pakdo raasta apna

kiraye par liya hai suit, kyu dhokhe me aate ho

wahi ho tum zamane bhar ne, ek din jisko thukraya

zamane bhar ke thukraye ko, mere dil ne apnaya

mere dil ne apnaya

ye sewa hai tumhara dil, laga kar bhul jate ho

mohabbat ka zamana hai, mohabbat ke nazare hai

dilo me hasrate betab, aankho me ishare hai

isharo hi isharo me, kisi ka dil jalate ho

bhari mahfil me le de ke, hamara dil akela hai

hamari ghar me virani, waha pariyo ka mela hai

tumhare paas hum aate hai, aur tum dur jate ho

na ro ae rone wale, pyar lekar mai chali aayi

magar dekho kisi din tum bhi, ban jana na harjaai 

tumhe meri kasam, ab chup raho kyu dil dukhate ho

dekh milate ho usi ko khaak me, jo dil se milta hain

meri jan chahne wala, badi mushkil se milta hain 

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

ye surat aur hamse dosti, achhi nahi saahab 

nashe me aapne sandal meri dekhi nahi saahab 

akeli dekh kar tum raah me aankhe dikhaate ho 

jalaate ho hame lekin, kabhi tum bhi to jalte the 

na aate the ager ham raat bhar, pahlu badalte the 

ye sewa hai tumhara dil, laga kar bhul jate ho

ye sewa hai tumhara dil, laga kar bhul jate ho

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

december ki ye thandi raat aru uspe ye tanhaai 

na jaane aaj kis bairan ke, ghar baithe ho harjaai 

chale bhi aao parvaano, hame na haq dilaate ho 

sambhal ae raat ki raani, ye parvaane chale aaye 

teri fariyaad me dilbar, ye divaane chale aaye 

gale se aa milo, kyun dur se ulfat jataate ho 

bujhaai hai agar ye pyas nazro ki, yahi hal hai

paraai aag me jalna, magar sikha nahi hamne 

chalo ae dosto kyun muft me, jaane ganvaate ho 

gale tujhko lagayega, ye divaana mohabbat ka 

kafan baandhe huye aya hain, mastana mohabbat ka 

ye meri khushnasibi hain, ke tum mujhko jalaate ho 

tumhe meri kasam, ab chup raho kyu dil dukhate ho

bahaar aai, chaman ke patte patte par shabab aaya 

likha tha khat jo bhanwre ko, nahi uska jawab aaya 

kaho sarkaar, kaho sarkaar kaho, sarkaar 

kaho sarkaar main haajir hu, kyun mujhko bulate ho 

kaho sarkaar main haajir hu, kyun mujhko bulate ho 

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

main lobhi ras ka hu, duniya mujhe kahti hain harjai 

milaai aankh jisne mujhse, wo aakhir me pachhtaai 

mohabbat ke ye din, kyun jhuthi baaton me ganvate ho 

tum harjaai sahi lekin, ghadi bhar ko chale aao 

hamaari dil ki sun jaao, kuch apni dil ki kah jaao 

mujhe manjur hain jo apni marji se bulaate ho 

hamare haath se tum, aaj bach kar jaa nahi sakte 

tumhaare pyar ke dhokhe me, ab ham aa nahi sakte 

idhar bhi dil lagaate ho, udhar bhi dil lagaate ho 

idahr bijli udhar shola, main jaau to kahan jaau

musibat hi musibat hain, jahan jaau waha jaau 

mohabbat ke maze lute hain, ab aansu bahaate ho 

mohabbat ke maze lute hain, ab aansu bahaate ho 

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho

Explore this song