Roman script

bibbo: 
pujaari, more mandir mein aao 
nainnon ki ganga jamuna men, saajan aao nahaao 
surendra: 
prem dev ki karo aarati, sneh sudha barasaao 
dil ke taaron par sajani tum deepak raag sunaao 
donon: pujaari, more mandir mein aao 
surendra: pujaari, more mandir mein aao 
bibbo: 
bachapan rooth gayo kyon mose, koi ye batalaao 
joban rooth na jaaye baalam, aisi raah bataao 
donon: pujaari, more mandir mein aao 
bibbo: pujaari, more mandir mein aao 
surendra: 
chandragrahan hai, chandramukhi tum aao yahaan chhup jaao 
roop-sudha ki mast pyaali peeo aur pilaao 
donon: pujaari, more mandir mein aao 
donon: pujaari, more mandir mein aao

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Surendra Nath, Bibbo