Roman script

haal kyaa hai dilo kaa na puuchho sanam

aap kaa muskuraanaa gazab dhaa gaya

ik to mahafil tumhaarii hasi kam na thi

us pe mera taraana gazab dha gaya

haal kya hai dilo kaa  

ab to laharaya mastii bharii chhaanv mein

baandho lo chaahe ghungharu mere paanv mein

main bahakata nahi tha magar kyaa karun

aaj mausam suhana gazab dha gaya

haal kya hai dilo kaa  

har nazar uth rahii hai tumhaarii taraf

aur tumhaari nazar hai hamaari taraf

aankh uthana tumhaara to phir thik tha

aankh uthaakar jhukana gazab dha gaya

haal kya hai dilo kaa   

mast aankho kaa jaadu jo shaamil hua

mera gaanaa bhi sunane ke qaabil hua

jisko dekho vahii aaj behos hai

aaj to main diivana gazab dha gaya

haal kya hai dilo kaa

Explore this song