Roman script

puchho na hame ham unke liye 

kya kya nazrane laaye hai

dene ko mubarakbaad unhe

aankho me ye aansu aaye hai

puchho na hame ham unke liye 

kya kya nazrane laaye hai

dene ko mubarakbaad unhe

aankho me ye aansu aaye hai

puchho na hame ham unke liye 

jivan ki suhaani raaho me unko ek jivan mit mila

jivan ki suhaani raaho me unko ek jivan mit mila

aur hansati hui is mahfil se hamko birha ka geet mila

kaliyo ki tarah, muskaaye the ham 

kaliyo ki tarah muskaaye the ham

phulo ki tarah murjhaaye hai

puchho na hame ham unke liye 

kya kya nazrane laaye hai

dene ko mubarakbaad unhe

aankho me ye aansu aaye hai

puchho na hame ham unke liye 

tufaan hazaaro saath liye jivan ki dhara bahti hai

tufaan hazaaro saath liye jivan ki dhara bahti hai

aur dekhke uski maujo ko takdir ye hanskar kahti hai

saahil ke liye jo, tadpe the 

saahil ke liye jo tadpe the 

wah aaj bhanvar me aaye hai

puchho na hame ham unke liye 

kya kya nazrane laaye hai

dene ko mubarakbaad unhe

aankho me ye aansu aaye hai

puchho na hame ham unke liye

Explore this song