Roman script

kaun hai jisne may nahi chakkhi
kaun jhuthi kasam uthata hai 
maykade se jo bach niklta hai 
teri aankho mein dub jata hai 
piye ja raha hu jiye ja raha hu
jawani ko dhokha diye ja rha hu
judai hi tha jindgi ka mukddar 
bahut ji chuka lijiye ja raha hu
bahut jkham khaye magar rasto par 
charaga to kuch kuch kiye ja raha hu
bhulana mujhe itna aansa na hoga 
kayi dastane diye ja raha hu
kashish koi aisi hai jine se aarif
ke mar mar ke bhi main jiye ja raha hu

Song details