Roman script

pichli yad bhula do pichli yad bhula do 

gujre bite afsano ka

gujre bite afsano ka har ek naksh mita do

pichli yad bhula do pichli yad bhula do 

ahde wafa pe mar mit jana, ahde wafa pe mar mit jana

ye hai rasham purani

ishk mohabbat pyar ki, kasme samjho ek kahani

dil ko ab samjha do, dil ko ab samjha do

gujre bite afsano ka har ek naksh mita do

pichli yad bhula do 

bhula bisra jajbat koi, bhula bisra jajbat koi

kadmo ko bahka de 

aanch purani yado ki na, chingari sulga de

inko raz bana do, inko raz bana do

gujre bite afsano ka har ek naksh mita do

pichli yad bhula do 

bhare khazane khushiyo ke, bhare khazane khushiyo ke

kismat se aaj mile hai

aashao ki phulwadi me phul hi phul khile hai

chun chun sej saja do, chun chun sej saja do

gujre bite afsano ka har ek naksh mita do

pichli yad bhula do pichli yad bhula do 

pichli yad bhula do

Explore this song