Roman script
meri laundry ka ek bill, ik aadhi padhi novel ek ladki ka phone number, mere kaam ka ek paper mere taash se heart ka king, mera ik chaandi ka ring pichhale saat dinon mein maine khoya kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya present mili ek ghadi, pyaari thi mujhe badi meri jeb ka ek packet, meri denim ki jacket do one day match ke passes mere naye naye sunglasses pichhale saat dinon mein maine khoya kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya kaise bhulu saatva jo din aaya kisi ne tumse ik party mein milvaaya kaisa pal tha, jis pal maine tumko pehali baar dekha tha hum jo mile pehli baar, maine jaana kya hai pyar maine hosh bhi khoya, dil bhi khoya kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya maine pichhale saat dino mein, ye sab hai khoya
Song details
- Singer: Farhan Akhtar
- Film / album: Rock On (2008)
- Composer: Shankar Ehsaan Loy
- Lyricist: Javed Akhtar
- Actor: Farhan Akhtar
- Actor: Prachi Desai
- Actor: Arjun Rampal
- Actor: Purab Kohli
- Actor: Luke Kenny
- Actor: Shahana Goswami
- Actor: Koel Puri
- Actor: Dalip Tahil
- Actor: Anu Malik
- Actor: Reema Kagti
- Actor: Suraj Jagan
- Actor: Nicolette Bird
actor: Arjun Rampal, Farhan Akhtar