Roman script

phir se dil dukhane ye rat aayi

teri yade ye sath layi

aasu banke aankho me chayi

aankhe subah tak so na payi

yad mujhe na aa dil tadpane na aa

jaa tu mujhe na kabhi yad aa

tu mere jane ke baad aa

tare aasma pe kyu jhilmilaye

chayi kyu hai kali ghataye

chalti kyu hai thandi hawaye

yade teri bhi kyu sataye

yad mujhe na aa dil tadpane na aa

phir kyu yad aaye gujre jamane

masti ke wo lamhe suhane

chahat ke wo pyare tarane

hale dil tu mera na jane

yaad mujhe na aa dil tadpane na aa

ja tu mujhe na kabhi yad aa

tu mere jane ke bad aa

phir se dil dukhane ye rat aayi

teri yade ye sath layi

aasu banke aankho me chayi

aankhe subah tak so na payi

yad mujhe na aa dil tadpane na aa

Explore this song