Roman script

pehli baar tumko maine jab dekha tha

sun lo yaar ki o maine kya socha tha

laga ki tumse milna tha tabaahi

iss dil ko hi samjhaane maine kaha

iss raste na jaana kabhi raahi

yeh tere liye hai hi nahi

dil mera bol utha hone do ab jo bhi ho 

darna kya, bhala-bura hone do ab jo bhi ho

kya dil ki sun li tumne, kya raah chun li tumne

haa dil ki sun li maine, haa raah chun li maine

leharo me jaise lehre mile

aise mil gayi dilo ki dhadkan

chalte hi chalte raaho me

khoye khoye hai dono tan mann

hum paas aaye to kyun paas aaye

socho toh baat hai zaraa si

kuch tum bhi pyaase pyaase the kab se

main bhi tha pyaasa pyaasa

lagaa ki tumse milna tha tabaahi

iss dil ko hi samjhaane maine kaha

iss raste na jaana kabhi raahi

yeh tere liye hai hi nahi

dil mera bol utha hone do ab jo bhi ho

darna kya, bhala-bura hone do ab jo bhi ho

kya dil ki sun li tumne, kya raah chun li tumne

haa dil ki sun li maine, haa raah chun li maine

pehli baar, pehli baar sun lo yaar

pehli baar, pehli baar sun lo yaar

pehli baar

Explore this song