Roman script

pehle to meri in aankhon par baras gaye sapne

phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne

ab dil hai rasta hai manjil hai aur hai ye sapne

jaana hai wahaan le jaaye jahaan sapne

jaagi jaagi jindagi hai ujali ujali roshani hai

lo ishare kare sab dishaaye lo pukaare hamein sab hawaaye

hone ko hai ab sach yahan sapne

pehle to meri in aankhon par baras gaye sapne

phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne

ab dil hai rasta hai manjil hai aur hai ye sapne

jaana hai wahaan le jaaye jahaan sapne

meri nayi aankhein hai ya duniya hi badali hai

main chaahe jidhar bhi dekhu kuch rang naye hai chhalake

naya naya sa ambar aur nayi si ye dharati

hai hai badal rahi ab jaise ye rut bhi halke halke

mujhse ye najaare puchhate hai sare

tune itne anokhe paaye kahaan sapne hey hey hey hey

pehle to meri in aankhon par baras gaye sapne

phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne

ab dil hai rasta hai manjil hai aur hai ye sapne

jaana hai wahaan le jaaye jahaan sapne

dur se main kyun dekhu ye waqt ka behta dariya

kyun main daru majhdaaro se kyun baithi rahu kinaare

kab tak main khelungi bas phulon aur kaliyon se

kyun na todke main le aau aakaash se tare saare

mujhse ye najaare puchhate hai sare

tune itne anokhe paaye kahaan sapne

pehle to meri in aankhon par baras gaye sapne

phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne

ab dil hai rasta hai manjil hai aur hai ye sapne

jaana hai wahaan le jaaye jahaan sapne

jaagi jaagi jindagi hai ujali ujali roshani hai

lo ishare kare sab dishaaye lo pukaare hamein sab hawaaye

hone ko hai ab sach yahaan sapne

haan hone ko hai abb sach yahaan sapne

hone ko hai ab sach yahaan sapne hey hey hey hey hey

Explore this song