Roman script

pehla din hai college ka dar lagta hai

naya daur hai jindagi ka dar lagta hai

papa bhi khush hoke ek tohfa aaj laye

kuch banuga mai kar dikhau mai 

jispe unko naj aaye

unke khafa ho jane ka dar lagta hai

naya daur hai jindagi ka dar lagta hai

pehla din hai college ka dar lagta hai

kehte hai sab mujhko college ke din hai suhane

aaj barish me bhig ke aaya sath leke lakho sapne

sapno ki unchi manjil ka dar lagta hai

naya daur hai jindagi ka dar lagta hai

pehla din hai college ka dar lagta hai

mai to hu sidha sa ajnabi ye sari duniya

aise mele me kho na jau mai

mil bhi jaye koi apna

yu hi dhadkte is dil ka dar lagta hai

naya daur hai jindagi ka dar lagta hai

pehla din hai college ka dar lagta hai

Explore this song