Roman script

payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi

payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi

ye dillagi ye sharaarat hame pasand nahi

bajaa nahi thaa izahaar beqaraari ka

lihaaz kuchh to kiya hota pardaadaari ka

haya se itni bagaavat hame pasand nahi

payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi

hami ko hans ke sitaaro ne bhi nahi dekha

hami ko hans ke sitaaro ne bhi nahi dekha

nazar mila ke bahaaro ne bhi nahi dekha

kisi nigaah se dilat hame pasand nahi

ye dillagi ye sharaarat hame pasand nahi

jo takht-o-taaj ke vaaris hai unka pyaar hi kya

badalane vaali nigaaho kaa aitabaar hi kya

hazur ki ye inaayat hame pasand nahi

payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi

Explore this song