Roman script

pawan basanti bahne lagi man madhuban se kahne lagi

khushbu churaye mahake nazare

pyar ka mausam layi bahar pawan basanti bahne lagi

man madhuban se kahne lagi

kaliyo ke tarano pe bhanwre gungunate hai

pyasi sans ki vina ke sur ko chhed jate hai

koyal git gati hai duniya ko sunati hai

khoyi dhadkano me prit ki sargam jagati hai

ujde chaman me aaj nahi kal sath khilenge phul hajar

pawan basanti bahne lagi man madhuban se kahne lagi

khushbu churaye mahake nazare

pyar ka mausam layi bahar

o pawan basanti bahne lagi man madhuban se kahne lagi

naino ke kharondo me sapno ka basera hai

gam ki rat ke pichhe ummido ka sawera hai

andar ke parinde to pinjara tod jate hai

khushiyo ke darkhsto se wo nata jod jate hai

jaldi milegi manjil teri aise na rahi himmat har

pawan basanti bahne lagi man madhuban se kahne lagi

khushbu churaye mahake nazare

pyar ka mausam layi bahar

pawan basanti bahne lagi man madhuban se kahne lagi

Explore this song