Roman script

parbat ke us paar 

parbat ke us paar dilo ka pyar hawao me lahrata hai

yaha har mausam gaata hai, yaha har mausam gaata hai

parbat ke us paar 

dariya ka albela paani baadal ban kar jhume 

baadal shabnam ke honto se kaliyo ka munh chume

is vaadi mai sb se sb ka rista naata hai 

yaha har mausam gaata hai, yaha har mausam gaata hai 

parbat ke us paar

haryaali ki chadar odhe dhup chale raaho mai

aankh micholi khele manjar kohre ki baaho mai

ishq yaha par jeene ke aadab sikhata hai 

yaha har mausam gaata hai, yaha har mausam gaata hai 

parbat ke us paar

pedo ko humraaj bnaaye, dilwaale diwaane 

khaamoshi ko raat sunaaye, chahat ke afsaane

chand falak par roj kisi ko dhundhne aata hai

yaha har mausam gaata hai, yaha har mausam gaata hai

parbat ke us paar dilo ka pyar hawao me lahrata hai

yaha har mausam gaata hai, yaha har mausam gaata hai

parbat ke us paar

Explore this song