Roman script

pal pal dil ke paas, tum rahti ho

pal pal dil ke paas, tum rahti ho

jivan mithi pyaas, ye kahti ho

pal pal dil ke paas, tum rahti ho 

har shaam aankho par, tera aanchal lahraye

har raat yado ki, baaraat le aaye

mai saas leta hu, teri khushbu aati hai

ek mahka mahka sa, paigam lati hai

mere dil ki dhadkan bhi, tere git gati hai

pal pal dil ke paas, tum rahti ho

kal tujhko dekha tha, maine apne aagan me

jaise kah rahi thi tum, mujhe bandh lo bandhan me

ye kaisa rishta hai, ye kaise sapne hai

begane ho kar bhi, kyun lagte apne hai 

mai soch mai rahta hu, dar dar ke kahta hu

pal pal dil ke paas, tum rahti ho

tum sochogi kyun itna, mai tumse pyaar karu

tum samajhogi diwana, mai bhi iqarar karu

diwano ki ye bate, diwaane jaante hai

jalne me kya maza hai, parwane jante hai

tum yu hi jalate rahna, aa aa kar khwabo mein

pal pal dil ke paas, tum rahti ho

jivan mithi pyaas, ye kahti ho

pal pal dil ke paas, tum rahti ho

Explore this song