Roman script

paav uthte na the sultan ke

par chal hi diye

sun chitod gunaho ki salami ke liye

waha magar pahuche to

shole the na chingari thi

rakh ka dher tha

khamoshi waha kari thi

ek budhe ne ishare se unhe batlaya

wo kisi rakh me hai 

jiske liye tu aaya

fut aankho se pade

aasuo ke fuhare

muh se sultan ne itna hi kaha

allah re

shama parwane ke jalne par

hasa karti hai

aap parwana bane shama hi 

wo dharti hai

aap parwana bane shama hi 

wo dharti hai

Explore this song