Roman script

paane chala tha main zindagi

sochkar ke kahin pe khadi zindagi

mil gaya raah mein

mujhko sara jahaan

wo bhi tha taak mein, zindagi ki wahaan

baadalo ki tarah, dono uljhe rahe

zaahilo ki tarah, haath malte rahe

ugte sooraj ki tarah

jo mera din jagmag hua

maa ki lori kaan mein gunji

paa ke hotho se duaan

har subah nikal ke sapno mein yu dubi

na pata chala

bhar diya use hi maine 

jo bhi mujh me tha khala

paane chala tha main zindagi

sochkar ke kahin pe khadi zindagi

mil gaya raah mein

mujhko sara jahaan

wo bhi tha taak mein, zindagi ki wahaan

palke jab khuli to

paaya maine wo sama

ye zameen thi ghutne teke

kadmon mein tha aasma

phir bhi banzar mera daaman

main akela tha khada

tab main jana

main hamesha

zindagi se tha bada

paane chala tha main zindagi

sochkar ke kahin pe khadi zindagi

mil gaya raah mein

mujhko sara jahaan

Explore this song