Roman script

rab kare ke aaj se

aaj phir na ho, na ho kabhi

dua karo ke aaj se

aaj phir na ho, na ho kabhi

nahi mila hai koi jo

dekh ke laga apna kabhi

nahi jama, nahi jacha

na kabhi mijaj ha ho kabhi

shauhrate dekhi aisi, sabka maila chehra

muskurahate ye kaisi jin pe baandha pahra

matlab ki yaari dekhi, imaa bikte dekha

padh liya ab ke humne, sabka lekha jekha

sach kahe to aaj se

aaj phir na ho, na ho kabhi

rab kare ke aaj se

aaj phir na ho, na ho kabhi

aisi siyasat dekhi, aangan dhahte dekha

waahiyat aadat dekhi, maatam bantte dekha

rasme bimari dekhi, sabne socha jara

lailaaj aadat dekhi, haakim bhi bebasa

kaisi ye kharonch hai, sab me hi dosh hai

badlega sab yaha, agar nayi soch hai

kab tak malal me jeena, marna

man ke kamre saaf kar le

shikwe haal me jeena, marna

aisi sari shame laal hai

kisne lakire khinchi, sab me hissa dekha

dil ki likhawat dekhi, dil ka kissa dekha

ruh se man ghayal, murde jite dekha

rab jaha aankhe kholi, sabko darte dekha

Explore this song