Roman script

o sajana chhuta hai jo daman tera

manzil-manzil hai andhera o sajana

ja dilruba tere sath chala dil mera

rahe pyar nigahban tera ja dilruba

ja dilruba

prit laga ke gam se ahe bharana kya

rah chale to kanto se phir darana kya

ai o dil ki tamanna puri hone na pai

aa ke jigar pe laga tir-e-judai o sajana

zara dekh tadpna mera

manzil-manzil hai andhera o sajana

ja dilruba dil ko tere behlaunga

umid ka tara ban ke jhumunga ankho me teri

mazil ka nazara ban ke

jhumunga ankho me teri mazil ka nazara ban ke

ja dilruba nahi dur milan ka dera

rahe pyar nigahaban tera ja dilruba ja dilruba

prit laga ke gam se aahe bharna kya

rah chale to kanto se phir darna kya

ai o hogi jo suni-suni ulfat ki rahe

dhundha karegi tujhko meri nigahe

o sajana mai le ke chali gam tera

manzil-manzil hai andhera o sajana

ja dilruba yad hamari ban ke chandani

rah me khil jaegi

qadam-qadam par tujhako dhadkte dil ki sada aaegi

qadam-qadam par tujhako  dhadakte dil ki sada aaegi

ja dilruba teri rah me sab kuchh mera

rahe pyar nigahaban tera ja dilruba

o sajana chhuta hai jo daman tera

manzil-manzil hai andhera o sajana

ja dilruba tere sath chala dil mera

rahe pyar nigahaban tera ja dilruba

ja dilrubao 

prit laga ke gam se ahe bharna kya

rah chale to kanto se phir darna kya

Explore this song