Roman script

o priya jab jab tu mere samne aati hai
mere dil me ek ajib si halachal hone lagti hai
tu mera pyar meri puja meri zindagi hai
aa dekh dekh tu mera pagalpan
ki mai har chehare me 
tera chehara talash karta hun
ye mujhe kya ho gaya hai
kya kahu bas tujhe chhune ko dil kare
tujhe pane ko dil kare bas
tujhe chhune ko dil kare
tujhe pane ko dil kare bas
jo baat mere dil me chhupi vo batane ko dil kare
o priya o priya priya priya 
tujhe pane ko dil kare bas
ye rup mahka ye zulf bekhari ye dil lubhana tera
madahosh mujhko karne laga hai 
yu muskurana tera yu muskurana tera
teri dhadkan me aaj to bas jane ko dil kare
tujhe pane ko dil kare bas
jisne mere sapne mahkaye
mujhse milke wo kyu sharmaye
jane uske dil me kya kya ho 
usko sochu to kuch ho jaye 
na jane ab kya kare ye dil ki lagi
mushkil mein aane lagi hai ye jindgi
jisne mere sapne mahkaye
mujhse milke wo kyu sharmaye
najar najar se milkar bana hai ye afsana
main jis tarh jalta hu jalega kya parwana
mera hale dil jaane na wo koi to use bataye 
jisne mere sapne mahkaye
mujhse milke wo kyu sharmaye
mere dil mein rahne wali 
mujhe apna kahne wali
dhadkano ka aehsas tum ho 
har ek lamha mere pas tu hai 
tere siwa na chahat koi na koi arman

Song details