Roman script

o behna o behna o behna o behna

o mere jijaaji ka kya kehna

rab ne aisi jodi banaayi jaise tota aur maina o behna

kya surat hai, kya surat hai

haye alla jo dekhe kahe subhan alla

kya surat hai hay alla jo dekhe kahe subhan alla

jaise chand sitaaron mein wo ek hazaaron mein valla

huwa kya jo rang kala hain tede hai thode se naina

o behna o behna o behna o mere jijaaji ka kya kehna

rab ne aisi jodi banaayi jaise tota aur maina o behna

kaan zara se lambe hain kad thoda sa chhota hain 

khaate pite ghar ka hain is liye zara sa mota hai

baaki sab kuchh thik thak hain tu dhoke mein mat rehana

o behna o behna o behna o mere jijaaji ka kya kehna

rab ne aisi jodi banaayi jaise tota aur maina o behna

maana naya jamaana hain, maana naya jamaana hain

ye sample zara puraana hai

lekin shakl se lagata hai ye sachmuch tera deewana hai

pant kisi ki pehani hai aur coat kisika hai pehana

o behna o behna o behna o mere jijaaji ka kya kehna

rab ne aisi jodi banaayi jaise tota aur maina o behna

Explore this song