Roman script

o dur jane wale, o dur jane wale 

wada na bhul jana, wada na bhul jana

rate hui andheri, rate hui andheri

tum chand ban ke aana 

tum chand ban ke aana

o dur jane wale, o dur jane wale 

wada na bhul jana, wada na bhul jana

apne huye paraye, dushman hua zamana

tum bhi agar na aaye, tum bhi agar na aaye

mera kahan thikana

o dur jane wale, o dur jane wale 

wada na bhul jana, wada na bhul jana 

aaja kisi ki aankhe, ro ro ke kah rahi hai

aisa na ho ki ham ko, aisa na ho ki ham ko  

kar de juda zamana

o dur jane wale, o dur jane wale 

wada na bhul jana, wada na bhul jana

Explore this song