Roman script

o desh aane waale bataa

o desh aane waale bataa

kis haal me hain yaarane vatan 

wo baage vatan fir daus vatan 

o desh aane waale bataa 

o desh aane waale bataa 

kya ab bhi waha ke baago me 

mastana havaaye aati hain 

kya ab bhi waha ke parvat par

ghanghor ghataaye chhati hain 

kya ba bhi waha ki barkhaye 

vaise hi dilo ko bhati hain 

o desh aane waale bataa 

o desh aane waale bataa 

wo shahar jo hamse chhuta hain 

wo shahar hamara kaisa hain 

sab log hame pyaare hain magr 

wo jag se pyaara kaisa hain, kaisa hain 

o desh aane waale bataa 

o desh aane waale bataa 

kya ab bhi vatan me vaise hi 

sarmast najaare hote hain 

kya ab bhi suhaani raato me 

wo chaand sitare hote hain 

ham khel ko khela karte the 

ab bhi wo saare hote hain 

o desh aane waale bataa 

o desh aane waale bataa 

shab bazm-e-harifaa sajti hain 

yaa sham dhale so jaati hain 

yaaro ki basar aukaat hain kya 

har anjuman nara kaisa hain, kaisa hain 

kya ab bhi mahakti mandir se 

naapus ki aavaaz aat hain 

kya ab bhi mukshad masjid par 

mastano jaan tharrati hain 

kya ab bhi waha ke panghat par 

panhariya paani bharti hain 

angdaai ka naksha ban ban kar 

sab maathe par gaagar dharti huye 

aur apne gharo ko jaate huye 

hansti hui chuhle karti hain karti hain

o desh aane waale bataa 

o desh aane waale bataa 

main hairaan lahu ki dhaar hua 

bolaana bhi kya gulnaar huaa 

kis rang ka hain dariya ae atak 

raavi ka kinara kaisa hain, kaisa hain 

ae desh aane vaale magar 

tumne to na itna bhi puchha 

wo kavi jise banvas mila 

wo dard ka mara kaisa hain kaisa hain 

o desh aane waale bataa 

o desh aane waale bataa 

kya ab bhi kisi ke sine me 

baaki hain hamaari chaah bataa 

kya yaad hame bhi karta hain 

ab yaaro me koi aah bataa

o desh aane waale bataa 

o desh aane waale bataa 

liliyaah bataa liliyaah bataa 

liliyaah bataa liliyaah bataa

Explore this song