Roman script

o bewafa ye to bata luta chaman kyu pyar ka

jis dil me tera pyar tha jis dil me tera pyar tha

us dil ko kyu thukra diya luta chaman kyu pyar ka

rone wale kya kahu hotho ko kyu sina pada

marne ki surat li na thi bas isliye jina pada

jo ho gaya so ho gaya mat naam le ab pyar ka

luta chaman kyu pyar ka aankho ko aasu deke

ab kahti ho aasu na baha marna hai to ghut ghut ke mar

fariyad hotho pe na la dil ki tadap dil me chhupaye

faisla hai pyar ka luta chaman kyu pyar ka

jara soch ke mujhe dosh de mere bas me kab tadbir thi

jo bichhad gayi wo main na thi are wo meri takdir thi

kismat se ab kaise ladu kismat ne hi dhokha diya

luta chaman kyu pyar ka o bewafa

Explore this song