Roman script

o bekarar dil thahar na itna bekarar ho wo aayenge 

wo aayenge to in labo pe phul muskurayenge wo aayenge
o bekarar dil thahar na itna bekarar ho wo aayenge 
ye kah raha hai aayina ke rup ko sawar le
ke khatam honge aaj intzar ke ye silsile

wo aayenge wo aayenge to laut kar na jayenge wo aayenge
o bekarar dil thahar na itna bekarar ho wo aayenge 
sada yuhi bani rahe chamak damak ye mang ki
ke din hai ye suhag ka ye rat hai suhag ki

suhag ke liye rat aaj milke fir manayenge wo aayenge
o bekarar dil thahar na itna bekarar ho wo aayenge 
ye ek din hai umar ke har ek din se kimti
is ek din to ye najar har ek din me dhundti

is ek din ka mol aaj pyar se chukayenge wo aayenge
o bekarar dil thahar na itna bekarar ho wo aayenge 
o bekarar dil thahar na itna bekarar ho wo aayenge 
janam janam ke sath ka diya wachan nibhayenge
o bekarar dil thahar na itna bekarar ho wo aayenge

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Hema Malini, Raj Babbar