Roman script

nikle the kaha jane ke liye, pahunche hai kaha malum nahi

pahunche hai kaha malum nahi

ab apne bhatakte kadmo ko, manzil ka nisha malum nahi

manjil ka nisha malum nahi

humne bhi kabhi ho humne bhi kabhi iss gulshan me 

ek khwab-ae-bahara dekha tha, ek khwab-ae-bahara dekha tha

kab phul jhade kab phul jhade, kab gard udi 

kab aayi khija malum nahi, kab aayi khija malum nahi

ab apne bhatakte kadmo ko, manzil ka nisha malum nahi

manzil ka nisha malum nahi

dil shola-ae-gam se ho dil shola-ae-gam se khak huwa 

ya aag lagi armaano me, ya aag lagi armaano me

kya chiz jali kya chiz jali kyun seene se 

utha hai dhua malum nahi, utha hai dhua malum nahi

ab apne bhatakte kadmo ko, manzil ka nisha malum nahi

manzil ka nisha malum nahi

barbaad wafa ho barbaad wafa ka afasana 

hum kisse kahe aur kaise kahe, hum kisse kahe aur kaise kahe

khamosh hai lab khamosh hai lab aur duniya ko 

ashko ki juba malum nahi, ashko ki juba malum nahi

nikle the kaha jane ke liye, pahunche hai kaha malum nahi

pahunche hai kaha malum nahi

ab apne bhatakte kadmo ko, manzil ka nisha malum nahi

manjil ka nisha malum nahi

Explore this song