Roman script

nigaaho me mohabbat ka jawaa paigaam le aaye 

bhari mahfil me najaro ka nasheela jaam le aaye 

chanchal adaaye machalti hui aage aa 

kaatil ye baahe chamkti hui bijaliya 

julfe udaau to ghataao ke bhi rang ude 

palke uthaau to sitaare saare tut pade 

ho ye aanchal gulaabi mera ye sama 

sharaabi sharaabi hua chha gaya nasha 

nigaaho me mohabbat ka jawaa paigaam le aaye 

bhari mahfil me najaro ka nasheela jaam le aaye 

bahaki hawaao se chhalke hai wo mastiya

chhane lagi dono aalam pe madhoshiya

phir ye bahaar ye khumaar ye karaar kaha 

chalti hai aisi bhi hawaye baar baar kaha 

ho o o mai chali machlke yu haule haule 

jhumke ye saare deewaane bole aa gaya maja 

nigaaho me mohabbat ka jawaa paigaam le aaye 

bhari mahfil me najaro ka nasheela jaam le aaye

Explore this song