Roman script

ho netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani

netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani

balidan hi balidan hai bachpan aur jawani

bachpan aur jawani balidan ki ek kahani

balidan ki ek kahani

oye bachpan hi se chanchal man me armano ka mela tha 

choti si ek lehar thi dil me toofano ka rela tha

college me ustad jo tha vo tha london ka gora

are usne kaha college me ek din hindi kala log chichora

sher boss ka khun jo khola sher boss ka khun jo khola

gore ko ek chapat lagai naam kata college se lekin

hind ki laaj bachai netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani

balidan hi balidan hai bachpan aur jawani

balidan ki ek kahani balidan ki ek kahani

maat pita ne samjhaya aur englishtan ko kiya ravana

bado ke aage boss na bole lekin baagi dil na mana

yurop me ics ke imtihan ko paas kiya

are itna ucha ohda pakar deshbakht ne chhod diya

fir hindsutan me aakar pehle ghandi ko parnaam kiya

ghandi ko parnaam kiya ghandi ko parnaam kiya

vo desh ki seva ka bapu se pehla pehla sabak liya

pehla pehla sabak liya pehla pehla sabak liya

bharat ke dukh dard ko socha samjha aur pehcahana

kamar band kar ran me aaya aajadi ka diwana

aajadi ka diwana aajadi ka diwana kiya angrejo ne ye aid

kare is baagi ko ab kaid kuchal dale masal dale

kuchal dale masal dale 

magar bachpan se jo baagi ho

vo julm se darna kya jane jalne se kab gabrate hai

shama vatan ke parvane jiski rag rag me shole ho

vo kya samjhe chingari ko hathkadiyo ko janjiro ko

jelo ki char diwari ko kadam kadam par mushkil aayi

lekin sher sada lalkara rah nahi sakta gair ke bas me

hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me

hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me

hidustan hamara

sarkar ne kar dali najar band jaban band

maidan ke jo mard hai hote hai kaha band

ek raat ko chupke hi se gum ho gye neta

shor hua subah kaha kho gaye neta

janta bhi thi hairan to sarkar bhi hairan

ud jane se bulbul ke tha saiyad pareshan

lekin mata ko ye ummid thi laut aayega beta

mata se kahe bina kaha jayega beta

is aas me darwaje bhi ghar ke na kiya band

aa jayega aa jayega vo laal vo parjand 

us maa se badi maa hai jo hindustan hai

vo chodd gaya maa ko badi maa ko chudane

is hind ki bigdi hui takdeer banane

badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta

badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta

aazadi ki nayi ladai ladne hamaara neta 

hindustan se kabul me aur kabul se london me

chalte chalte pahuch gaya vo singapur ke ran me

kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya

kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya

ek ek tinka chuna aur aashiyana ban gaya

jai gandhi jai subhash jai gandhi jai subhash

jai hind jai hind jai hind jai hind jai hind

Explore this song