Roman script

nilkamal par dole bhanwara 

gun gun gun kya gaye 

nilkamal par dole bhanwara 

nilkamal par dole bhanwara 

gun gun gun kya gaye 

ban titali kyun kali pe nache 

aur kali kyun muskaye 

nilkamal par dole bhanwara 

lata drikht se kyun lipati hai 

nadi kise milne ko chali hai 

kis ke liye vyakul hai papiha 

piya piya kyun gaye 

nilkamal par dole bhanwara 

chandr bina kyun chakor tadpe 

chandr bina kyun chakor tadpe 

jal bin min kyun pran taj de 

kaun aag me jale patanga 

jal kar kya sukh paye 

nilkamal par dole bhanwara 

dur kshitij par phul khile hai 

dharti aur aakash mile hai 

kinse milun main virah ki mari 

bujhna chahe jiwan bati 

kaun hume samjhaye 

nilkamal par dole bhanwara

Explore this song