Roman script

aap chehre pe chada lijiye lakho chehre

asli chehre ko chupana to bahut muskil hai

badaliya dhanp to sakti hai chand suraj ko

unki kirno ko dabana to bahut mushkil hai

najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani

najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani

tujhe hum maan gaye maan gaye maan gaye jaani

najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani

kabhi anjaani surat bhi hame lagti hai pahchani

kabhi anjaani surat bhi hame lagti hai pahchani

magar ye wo nahi wo nahi wo nahi rani

najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani

hum jami pe rahke sitaro ki khabar rakhte hai

jism hai shishe ka

pathar ka jigar rakhte hai dhokha kha jaye 

najar apni ye mumkin hi nahi

tadpne wale kayamat ki najar rakhte hai

ke sach par jhuth ka parda girana to hai nadani

ke sach par jhuth ka parda girana to hai nadani

tujhe hum maan gaye maan gaye

maan gaye jaani kabhi anjaani surat bhi 

hame lagti hai pahchani

aapka andaza maana ke bahut acha hai

aapne aankho ko aayina bana rakha hai

par jo dharti se gagan milta najar aata hai

wo najar ka nahi dhokha to fir kya hai

khuda jane tumhe kis baat par hai itni hairani

khuda jane tumhe kis baat par hai itni hairani

magar ye wo nahi wo nahi wo nahi rani

najar hai badli badli si ada hai jaani pahchani

yaki na aayega hamko kabhi aisi dalilo se

to jakar mashwara kar lijiye apne wakilo se

jarurat kya bhala hamko kisi se mashware ki hai

to fir maan lo chup chap ke ye or koi hai

magar ye jhuth hai sada to fir layo sabut iska

wahi ye nak naksha hai khuda ne sabko baksha 

hai kamar bhi patli hai waisi milegi lakho ki aisi

lachakti chal me masti jawani me rahe sabki

hame nadan samjhte ho aji kyu gussa karte hai

ye parda chak kar denge irada khak kar denge

ye parda chak kar denge irada khak kar denge

humse jo jeet sake

aisa jamaane me nahi haar ka jikar kahi

apne fasane me nahi kaha ab kuch to

pachtana padega tujhko diwani kaha ab kuch to

pachtana padega tujhko diwani

magar ye wo nahi wo nahi wo nahi rani

kabhi anjaani surat bhi  hame lagti hai pahchani

Explore this song