Roman script

nasim-e-ku-e-yaar aae na aae

mere dil ko qaraar aae na aae

khiza hi se na kyon ham dil laga le

khuda jaane bahaar aae na aae

kiya hai aane kaa vada to us ne

mere parwardigaar aae na aae

utha saagar pila de kul saaqi

ke phir abr-e-bahaar aae na aae

mujhe hai aitabaar-e-vada lekin

tumhe khud aitabaar aae na aae

Explore this song