Roman script

haye haye chaal hain, duhai hain duhai

kya angdai hain, tauba

kya kamariya lachkait hain

haye haye shararat karti hain

are nahi humpe marti hain

are marti nahi mui dekh ke jalti hain

haye haye 

najar kajrari raja kamariya kamaan

najar kajrari raja kamariya kamaan

oye dekhe jo budha, ha budha oye budha

ho jaye jawan, o raja ho jaye jawan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

are ye to bata ye kahan se aayi hain

ye to rahti thi jhumri talaiya

ha ha main to rahti thi jhumri talaiya

is ka aashiq tha dudh wala bhaiya

is ka aashiq tha dudh wala bhaiya

ye to rahti thi jhumri talaiya

wo fokat dudh pilaye, haye

wo paise na le jaye, haye haye

wo subah sham sataye, haye

use to shram na aaye, haye

jab se ise dene laga rupiya

haan jab se ise dene laga rupiya

ye to karne lagi, ye to karne lagi

ye to karne lagi, ta thaiya

usne ungli marodi kalai nahi chhodi

are ki jora jori, phir wo dene 

phir wo dene, laga ispe jaan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

oye kede khet ki muli hain

ise kahte hain kali kashmir ki

ha ha mujhe kahte hain kali kashmir ki

duniya aashiq hain iski tasveer ki

duniya aashiq hain iski tasveer ki

ise kahte hain kali kashmir ki

iske nain rasile, haye

iske hoth rasile, aaye haye

mite hain chaal pe iski, aaye haye

yaha ke kai kabile, o

o kisi ranjhe ki kal tak ye heer thi

o kisi ranjhe ki kal tak ye heer thi

haar baithi hain, haar baithi hain

haar baithi hain, baaji taqdeer ki

iska jalim shabab, jisne lute nawab

aankhe jaame sharaab, ispe dono

ispe dono, ispe dono jaha kurbaan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

wadi ye kaun si pari hain jisko humne nahi parkha

ye hain najma najaro ki mallika

ha ha main hu najma najaro ki mallika

husn duniya ka hain isse halka

husn duniya ka hain isse halka

ye hain najma najaro ki mallika

iski chaal to dekho, haye

sunhere baal to dekho, aaye haye

ke jispe fisle najre, haye

wo chikne gaal to dekho, haye

iska aanchal jo sine se dhalka

ho iska aanchal jo sine se dhalka

bhari mehfil me, bhari mehfil me

bhari mehfil me, lo jaam chhalka

kabhi ghunghata uthaye, kabhi ghunghata giraye

naaj nakhre dikhaye

tauba tauba, tauba tauba kare kul jahan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

dekhe jo budha, ha budha haye budha

ho jaye jawan, o raja ho jaye jawan

najar kajrari ho raja kamariya kamaan

Explore this song