Roman script

naina naina
naina mile naino se khile dil ke minare
hum tumse mile mil gaye sagar ke kinare
sagar ke kinare, naina naina 
do din hai bahaaro ke 
kahi bit na jaye, kahi bit na jaye
kahi bit na jaye
murjha ke na rah jaye 
khile phul bechare 
hum tumse mile mil gaye sagar ke kinare
sagar ke kinare, naina naina 
baate ho isharo me koi jaan na paye
koi jaan na paye, koi jaan na paye
chhup chhup jo chakori khadi 
chanda ko nihare
hum tumse mile mil gaye sagar ke kinare 
sagar ke kinare, naina naina 
kah do ye sahaaro se kahi tut na jaye
kahi tut na jaye, kahi tut na jaye
rah jaye na rote hue do dil dard ke mare
hum tumse mile mil gaye sagar ke kinare
sagar ke kinare, naina naina

Song details

Song video

Watch on YouTube